Youn dil jalanay ki kya zarorat thi
pass aakar dur janey ki kya zarorat thi
Hum to usi raah per kar rahay the tumhara intezar
tumhe apna rasta badalnay ki kya zarorat thi
Main ne to bas younhi keh dia tha
itna dil per laganay ki kya zarorat thi
Nahi mohabbat thi hum se,to keh dia hota
youn kisi ko saath laker jalanay ki kya zarorat thi
Kabhi azmaya to hota humay tum ne ayy naaznin
apna dewana bana ker youn chod deney ki kya zarorat thi
No comments:
Post a Comment